Author Topic: uttarakhand ke gaon mein street lightein nahi  (Read 4151 times)

Ajay Pandey

  • Jr. Member
  • **
  • Posts: 50
  • Karma: +2/-0
uttarakhand ke gaon mein street lightein nahi
« on: October 31, 2012, 06:54:00 PM »
uttarakhand ke gaon mein street lightein nahi
jaisa ki aap jaante hain ki uttarakhand mein jangli janwaron ka khatra kitna hai mein aapko yeh bhi bata dena chahta hoon ki uttarakhand ke jila almora ke gaon chitreshwar mein ek bacchiya ka katl baag ne kar diya tha aur udhar guldaar ne ek mahila ka ghas katte wakt katl kar diya tha jaisa ki aap jaante hi hain ki uttarakhand ke gaon mein raatbhar log idhar se udhar jaate hain wo bhi jaan hatheli par rakhkar wahan par bagh chhoti chhoti jhadiyon mein chhipe rehte hain gaon mein street light lagane ka jo paisa aa raha hai wo gram pradhan kyon kha rahe hain abhi mein nimna prashn saamne rakhna chahta hoon
1. gaon mein street light lagane ka paisa kyon khaya gaya
2. jo paisa sarkaar deti hai wo kahan jaa raha hai
3. gaon ke logo ki jaan ke saath kyon khela jaa raha hai
mere sawaal iss forum ke jariye gram panchayaton se hai uttarakhand ke gaon mein logo ki suraksha ke liye har ek poll par street light lagni hi chahiye kya pata baag kab aakar gala daba le jaaye aur katl kar de uttarakhand ke gaon ki gram panchayaton ke pradhan hi sab paisa khaa rahe hain aur yojnaon ka paisa bhale hi khayein par yeh paisa to naa khayein aise gaon ke logo ki jaan aur suraksha ke saath khilwaad kyon uttarakhand ke gaon mein street lightein lagwaane ki appeal mein mera pahad forum ke jariye har gram pradhano se karta hoon asha hai ki gaon mein street lightein laga di jaayengi aur logo ki jaan ke saath khilwaad nahi hoga
dhanyawaad
ajay kumar pandey

Hisalu

  • Administrator
  • Sr. Member
  • *****
  • Posts: 337
  • Karma: +2/-0
Re: uttarakhand ke gaon mein street lightein nahi
« Reply #1 on: November 01, 2012, 02:54:19 PM »
Ajay bhai.. Pahad ke Gaon me street light ka vishay to maine phli baar suna.... Par aapka chinta ka vishya "Jangali Janwaro Ka atank" jaayaj hai....
Sawal ye uthta hai ki kyu jangali jaanwar aabadi wale kshetra me aa rhe hai or kyu insaano per hamla kar rhe hai,,,

 

Sitemap 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22