Author Topic: Surnames Of People In Uttarakhand - उत्तराखंड के लोगो की जाति के नाम  (Read 582771 times)

प्रहलाद तडियाल

  • Jr. Member
  • **
  • Posts: 61
  • Karma: +4/-0
bhout ache jankare hai kuch Sir Name to maine bhi pehle baar sone

Good info....

Anubhav / अनुभव उपाध्याय

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,865
  • Karma: +27/-0
Ji bahut kuch exclusive milega aapko MeraPahad pai keep posting and exploring.

Waise main bhi Tulla Sult se hun Khumaad gaanv se :)

bhout ache jankare hai kuch Sir Name to maine bhi pehle baar sone

Good info....


खीमसिंह रावत

  • Moderator
  • Hero Member
  • *****
  • Posts: 801
  • Karma: +11/-0
Upadhyay jyu khumad sayad Malla Salt me hai/ Talla Salt me nahi hai/

khim

Dinesh Bijalwan

  • Sr. Member
  • ****
  • Posts: 305
  • Karma: +13/-0
Nayal, Kandari Gussain, Khati Gussain, Siphai Negi, Kofola Bist, Rautela,Payaal ,Tadyaal,Dangwal,Hatwal,Padhyaar Bist ,Maithyani,  Manjkhola , Mamgai, Mishr, Madwaan, kukreti, Bandhani, Bijalwan, Binjola, Baluni,Budakoti, Bamrada,  Bahuguna, Baukhandi, Bilwal,  Bhat, Butola (Rawat), Badola , Bangari Rawat, Bagri,  Chamoli, Chamola, Chamoga, Topal ,Tomar, Uniyaal, Lakhera, Kaintura, Semalti, Semwal, Sati, Silswal, Sundriyal,  Sajwaan , Kathait, Gaira, Ganauch, Kaira,  Lekhwar, Panwar, Pokhriyal, Patwal, Painuli, Paangti, 

Risky Pathak

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,502
  • Karma: +51/-0
Garhwaal ki Jatiaa
« Reply #124 on: June 20, 2008, 03:25:00 PM »
garhwaal me mostly Brahmin, Kshatriya(Thakur), harijan niwaas karte hai. Par Vaisya(Baniye) log 2nd century se basne start hue the.

Garhwaal me jo Isaai log rehte hai wo harizan jaati se parivartit hue hai.
Par garhwaal ki hindu jaati me kitni upjaatiaa hai ye ganna karna bhhot kathin hai.


Braahmin Jatiaa: in garhwaal are divided in three groups:
1. Sarola Gotri
2. Gangaadi Gotri(They were called as they live near Ganga River.)
3. Naana Gotri

Sarola and Gangaadi came from plains during 8th and 9th century. Sarola Came as RajPurohit of Pawar King's. Sarola and Gangaadi after coming to garhwal married with Nana Gotri Brahmins and were called as so.
Sarola Brahmin ke dwaara bnaya gya bhojan sab log khaa lete hai. Gangaadi jaati ka adhikaar kewal apne sambandhio tak hi seemit hai.

Sab Jaatia Gaon ke naam se prachalit hui...
Jaise:
Thaapli gaanv se Thapliyaal.
Budhaani se Bahuguna
Dobha se Dhobhal
Naithani ke Naithani
Nauti ke Nautiyal
Maitwana ke Maithaani
Kanduda ke Khanduri
Ratyuda ke Ratyuri
Chamola ganv ke Chamoli
Sem ke Semwal
Lakhedi ke Lakheda
   
Gagaadi jaati me bahuguna, Dangwaal, Dobhaal and Uniyaal jaati ke log darbaari rhe, isliye in chaaro ko chauthoki khaa jata hai.

Iske atirikat Juyal jati 'Rai bahaadur DEvaan Chakradhar Juyaal' ke naam se apne aap ko diwaan samajhne lage.

Kumaun se Pant, Pande, Mishr, Joshi jaati le log raajao ke rajya kaal me 200-250 varsh poorva garhwal me akar base.

Risky Pathak

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,502
  • Karma: +51/-0
Ksahtriya Jatia of Garhwal
« Reply #125 on: June 20, 2008, 03:33:56 PM »

Yha pehle Podraak, Aund, Dravid, Kamboj, Yavan, Shak, Plahv, Cheeni, Kiraat, Sarad, Khas naamak 12 vibhinn bhaago ka varan milta hai.

Garhwaal me AARYO ke aane se purv Khas jaati ka prabhav rhaa. Is prakaar Arya log asli raajput jinka prawesh 8th-9th century me mana jata hai. Khas Rajput khasia jati aur naye aaye raajputo ke mishran se bani.
During first world war(1914-1918) both fought with much courage and they were termed as TRUE RAJPOOT.

Rajputo ki Bisht, Negi, Kamina, Bhandari, Gosai, Rawat etc jaatia gaanv ke naam se na hokar darbaar ke pad se mile.
Jaise:
Ann(Food) ke bhandar rakhne waale ko Bhandaari
Bisht, Negi, Kamina were position of civil services.
Rawat, gosai etc were position in army.

Kathait, Sunaar, Kalaal, Naai Kumhaar, Vohra, Naayak, Jhivar, Grahsthi nath etc aaj rajpooto ki smaan pankti me aa gyi hai. Par Asli Raajputo ke Sath Shaadi Byaah ya Khaan Paan nahi chalta.


Risky Pathak

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,502
  • Karma: +51/-0

Garhwaal ke Harizan bhi anek bhaago me vibhakt hai. These are Children of Ancient Garhwalis.
Vibhinn pesho se kaam kar inhe jaati sangya di gyi. Inme bhi paraspar Unch Neech ka bhedbhaav vidyman tha. Koli Jati ka pakaya bhojan sabhi jati ke harijan khaa sakte the.


Praachin kaal me inhe SHILPKAAR, Arya Samaaj me AARYA aur Gandhi yug me inhe HARIJAN kha jane lgaa



Source: Uttrakhand Club Telephone Directory(2005-2006)

Anubhav / अनुभव उपाध्याय

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,865
  • Karma: +27/-0
Kya baat hai Himanshu badi saari jaankaari le aae castes ke upar :)

हेम पन्त

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 4,326
  • Karma: +44/-1
Excellent....Himanshu bhai aaj subah se shaant the....mujhe lag raha tha jarur kuchh exclusive jaankari lekar aaoge...

Dinesh Bijalwan

  • Sr. Member
  • ****
  • Posts: 305
  • Karma: +13/-0
मेरे विचार मे  हमारे पहाड की अधिकतर जातियो का गोत्र भारद्वाज ही है जैसे  बिजल्वान , बहुगुना  दोनो का गोत्र भारद्वाज है

 

Sitemap 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22