Sachmuch pahadi nari ka dard bhi pahad sa he hai.
Pahad ke Bhogolik isthiti, jal sroto ka dur-dur hona or pahad se rojgar ke liye purso ka palayan.........ye sare isthitiya vaha ke nariyo ko adhik parishram ke liye badhye karte hai.
Savidhan ke 74 sansodhan dwara Panchayate raj mai mahilao ke liye kuch seats su-nischit ke gai hai per aj bhe Mahilo se jure issue bhe purush panchayat mai he suljhaye jate hai.
Pahar ke vikas se he pahari naari ka vikas sambhav hai.Pahar ke Economy bhe mahilao k hato mai hai. vo na kewal ek kushal shramik hai balke ek acche vyapari bhe. Khaite- bari ke alawa Anaj-ghas or Dudh ko uchit mulye mai baichna bhe use ke jimme hai. Aise mai uchit Shiksha ek aisa madhyam hai jo inke dard ko kuch kem ker sakte hai.Pahari naari ka ye dard jab-jab futa hai 'chipko' OR 'sharab-bandi' jaise andolan hue hai.
jay uttrakhand