Jaha tak mujhe lagta hai Uttarkhand mein vikas hua hai per ha kuch area mein kafi or kuch mein kam jo gaon road ki kinar mein hai unke liye pani ke suvidha ab kar di gai hai jo ki pahle nahi thi or sath hi jo gaon road se dur hai unke liye abhi bhi smasya usi hi hai...... sanchar ke sadan ab pahle se kafi behtar hai....like Mobile facility jo ki ab hamare gaon mein aam baat ho gai hai....Mere khayal se Uttarakhand ki baat kare to hamare gaon mein sabse badi smasya Rojgar ki hai hamre gaon mein Rojgar nahi hai jis karan gaon khali ho rahe hai or young people city ki tarh apna rukh kar rahe hai or wo din bhi dur nahi jab hamare gaon hamare ghar khali ho jayge kyo ki ab un gaon mein koi nahi rahna chahta ye wo gaon hai jaha ham log apne Dada/Dadi ya Nana/Nani ki god mein khlea karte the or masti kiya karte the ya chuttyo mein apno se milne jaya karte the........Govt. ko agar Uttarakhand mein hamre gaon ko basana hai to waha per Rojgar ki taraf dhyan dena hoga or waha per Rojgar peda karne hoge kyo ki Uttarakhand mein sabse jayada bhag jo ki gaon mein rahta hai wo khali ho raha hai or ham sab log apne gharo se beghar ho rahe hai ya ye kahe ki dur hote ja rahe hai......... RegardsArun Bhandari
mehta ji, sahi baat hai agar hamare apne gaon mein rozgar hoga, to koi bhi hamari devbhoomi ko chorkar shehron me naukri dhoondne nahi jayega. Aaj hamare gaon me jo bhi uplabhdiya ho rahi hai, uska shrey aur faayda sirf desiyo ko mil raha hai; mere gaon dwarahat mein KEC ki jab neev rakhi gayi wahan par jyadatar desiyo ko appoint kiya gaya, kya hamari hi bhoomi me jab development aayegi to us vikas ke liye shehriyo ka naam hi kyon aata hai, kyon hamari bhoomi mein hamare gaonwale job nahi kar paate. Kya isme system ki galti nahi hai kya???