Author Topic: How Much You Miss Uttarakhand & Your Dream It -कितना याद आता है आपको अपना पहाड़?  (Read 4361 times)

सत्यदेव सिंह नेगी

  • Hero Member
  • *****
  • Posts: 771
  • Karma: +5/-0
mai 1987 de Delhi NCR me rah raha hun yun to phone se roj hi apne garhwal baat hoti rahati hai aur sal do sal me ghum bhi aate hain

par wahan par jo hai wo mejhe aajtak nahi mila sabse badi baat ki apni mitti apne log koee chacha koee tau koee bhaee koee bahan koee foofoo chachi mausi nate ristedar sabi hain jo ki har waqt apke aaspass rahate hain yahan Noida me koee door ka apna garhwali/ kumaoni bhai bahan dikh jata hai to thoda apnatwa aata hai par wo feeling fir bi nahi aati kyonki jyadatar ke gaon ke bare me to suna bhi nahi hota hamane kabhi.

ab ghar me hi dekh leejiye biwi se garhwali me baat karte hain to bachchaun se , padosi se hindi me didi jijaji se garhwali me baat hoti hai to banje bhanjiyon se hindi me yw sab door rahne ka hi to asar hai aur yahi sab yad dilata hai ki ham apne uttrakhand se kitni door hain

Jai Uttrakhand
Jai bharat

 

Sitemap 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22