Author Topic: नाटककार दिनेश बिजल्वाण का उत्तराखण्ड की पॄष्टभूमि पर आधारित नाटक "पंडेरा"  (Read 24849 times)

Risky Pathak

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,502
  • Karma: +51/-0

हेम पन्त

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 4,326
  • Karma: +44/-1
Is naatak ka agla manchan kab hona hai? Dinesh ji! forum ke sadasyo ko is naatak ke baare mein vistaar se batane ki kripa karein...

Anubhav / अनुभव उपाध्याय

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,865
  • Karma: +27/-0
Rajen ji kripya Dinesh ji se sampark kar ke unse is naatak ke baare main aur jaankaari dene ka anurodh karen.

Dinesh Bijalwan

  • Moderator
  • Sr. Member
  • *****
  • Posts: 305
  • Karma: +13/-0
Sabse phale mai aap sab ka dhynabad karna chaata hun ki aap sab logon ne  is natak ki kahani  mai roochi dikhai.
Yah naatak Rajeswar Uniyal, jo ki bombay main rahte hain, ke Hindi upnayaas "Pandera" par adharit hai.  Is naatak ka pichla manchan  LTG Sabhagar, Delhi main NSD ke sahyog Se hua tha.  Iska Manchal Kala Darpan Sanstha, ne Suwaran Rawat jo ki NSD pass out hain ne kiya tha.   Yah Sanstha bhi The High Hillar Group, A-8 Jal Vihar ki Tarah hi pahari back ground per adharit naatkon ka maanchan karti rahti hain.  Kala Darpan Sanstha Hindi main naatak karti hai jabki The High Hillers  Garhwali boli main naatak karta hai.  Jahan tak pandera ki pat katha  ki baat hai to yah mool roop  main ek tirkoniya prem kahani hai.  Par yah sirf prem kahani nahi hai yah jal , jungal aur jameen se jure adhikarron ki bhi awaaj uthaata hai.  katha ki naayika Basanti  hai jo apne gaanv ke hi ek fauzi adhikari  ko chahti hai.  Maa Baap ek hi gaanv me rista karna  theek nahin samjhete aur  uski saad ek lecturer se kar dete hain.  Prem main paagal uska premi uski sasuraal tak jaa pahunchta hai.  Pati  asli baat nahin samajh pata aur usko  maayke bhej deta hai. Garbhwati Basanti Maayke mein apne aklepan ke beech apne Pandere ( Naule, Water Source) ko bachane ke larai main saamil ho jaati hai aur aandolan ki charchit hasti ban jaati hai.  Premi bhi isi beech Border par post ho jata hai.   Vibhin Ghatnain pati aur patni  ko paani ke adhikaaron ke liye sangharsh  mein ek doosre ko phir se saath la dete hain.  Premi bhi  jung main ghayal ho jata hai , aapni gaalti sweekar karta hai aur pani ki laadai main saamil ho jata hai.    Is naatak  ke manchan ke bad NSD main  ek  ghosthi bhi hui thi jisme  Shri Shri Devendar Raj Aunkur , Director NSD , Shri Rajendra Dashmana,  Rajeswar Uniyal, Suwarn Rawat,  aur anek darkshkon ne naatak per apne vichar rakhe.   

Dinesh Bijalwan

  • Moderator
  • Sr. Member
  • *****
  • Posts: 305
  • Karma: +13/-0
galti se Shri Devendar Raj Aunkur ke naam Dev Raj Aunkur type ho gya hai.   Is naatak ko Shri Harish Rawat ji ne bahut pasand kiya tha aur unka mat tha ki  yah DehraDun main  manchit hona chaiye taaki  uttrakhand par nitiyaan banane wale kuch sabak le sakein.

Anubhav / अनुभव उपाध्याय

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 2,865
  • Karma: +27/-0
Dhanyavaad Dinesh ji humein kahani batane ke liye. Yeh to Rajen ji ne hum logon ko aapke Natakkaar ke roop se parichit karaya warna hum logon ko to pata hi nahi chalta. Aapke aur bhi naatak ho to kripya unke baare main bhi bataen.

Regards,
Anubhav
9810077696

Mayank Chand Rajbar

  • Jr. Member
  • **
  • Posts: 88
  • Karma: +1/-0
Dinesh Ji
wakai mei iss natak mei kuch aisi cheejo ko darsaya gaya hai jo aaj kal humare pahadi sammaj mei durlabh hai jaise...ek hi gaon mei ladka ladki ki shaadi ki baat...
naule(water resource) ke liye sangarsh.......

Ummeed karenge ki agle kisi aise pahadi natak mei hume bhi aap invite karenge...

Jai Pahad

हेम पन्त

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 4,326
  • Karma: +44/-1
Aap us post par 'modify' click karne ke baad, naam sahi kar de.. aur fir 'save' button press kar dein..

galti se Shri Devendar Raj Aunkur ke naam Dev Raj Aunkur type ho gya hai.   Is naatak ko Shri Harish Rawat ji ne bahut pasand kiya tha aur unka mat tha ki  yah DehraDun main  manchit hona chaiye taaki  uttrakhand par nitiyaan banane wale kuch sabak le sakein.

हेम पन्त

  • Core Team
  • Hero Member
  • *******
  • Posts: 4,326
  • Karma: +44/-1
सामाजिक मुद्दों पर आधारित यह नाटक अवश्य ही देखने लायक बना होगा. क्या निकट भविष्य में इसका पुनः मंचन करने का कोई विचार है? हम इसके मंचन हेतु किसी प्रकार की सहायता कर पायें तो प्रसन्नता होगी.

Dinesh Bijalwan

  • Moderator
  • Sr. Member
  • *****
  • Posts: 305
  • Karma: +13/-0
आप सभी का धन्यावाद ,  नाट्क के पुन: मन्चन के बारे मै श्री सुवर्न रावत जी से बात की जा सकति है  गर्ह्वलि बोलि केलिये  श्री खुश्हाल बिस्ट जी से बात की जा सकती है . राजन भाई  का विशेश धन्यावाद . ये मेरे आदर्नीय है .

 

Sitemap 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22