Main jab gaon pehli baar gaya tha toh main 5th standard main padta tha, main apne ek cousin ki shaadi aur ek jagar attend karne ke liye gaon gaya tha.
jagar ka anubhav to itna yaad nahin par shaadi ki ek baat yaad hai, hum log jab vidai ke baad nikal rahe they to kuch baache jinse meri acchi dosti ho gayi thi unhone bola are tune pithya nahi lagwaya, maine bola nahin toh unhone bola jaldi jaa ke lagwa le 21 RS mil rahe hain, toh main dhodta hua gaya aur uncle se bola pithya lagao aur paise do, sare log hass hass ke pagal ho gaye....aur main rone laga ki maine kya kah diya.