PRAVAASI, yehi shabd istemaal kiya jaat hai. Hum itney aggressive kyon hain is mamley main. Jahan tak mera sawaal hai, mujhey Uttraknadi honey ka garv hai. Haalanki main uttarakhand main paida bhi nahin hua, leking kisi na kisi roop main main apney ko uttarakhand se juda hua mehsoos karta hoon.
Main bahut se aise logon ko jaanta hoon jo philhaal Delhi main rahtey hain. Uttarakhand ke barey me negative drishti rakhtey hain, lekin jab wahan se fayada milney ki baat ayegi to le lengey. Maslan, aajkal Domocile Certificate ki bahut charcha hai. Bahut si jagah yeh kaam aa sakta hai. Yeh kya baat hui ki jab faydey ki baat ayegi to aap lengey.
Aapka sab kuch yahan par hai, rozgaar, padhai-likhayi, bachey, ghar lekin jab wahan ke logon ka HAQ marney ka waqt aayega to aap Uttarakhandi ban jayengey!
Haq ki baat isley bhi kar rahan hoon ki agar aap theek-thaak hain hain aur samaj mein kuch hesiyat rakhtey hain to wahan ke logon ke Haq par daka to na daley.
Isi tarahan, maine dekha hai ki election ke samay bahut se Pravaasi bhai Uttarakhand main election ko prabhavit karney (ya apni soach thopney) pahar jaatey hain. Aakhir kyon? Kya wahan ke log apney liye soach bhi nahin saktey? Aakhir yeh unka rajya hai.
Is baarey main forum ke bandhu logon ke suggestion jaroor janana chahoonga.
Isi aasha ke saath,
ved bhadola