Uttarakhand > Uttarakhand History & Movements - उत्तराखण्ड का इतिहास एवं जन आन्दोलन

Late Nirmal Kumar Joshi (Pandit) - क्रांतिवीर निर्मल कुमार जोशी (पंडित)

(1/4) > >>

Lalit mohan ojha......pithoragarh:
Dear all,
         Is topic ke madhayam se main uttarakhand aandolan(shangharsh)ke ek aur krantikaari late shri Nirmal kumar joshi(pandt)ji ki yaadon ko ek baar fir se jinda rakhne ki koshis kar raha hun.pandit ji ke baare main mujhe jyada kuch to nahi malum hai lekin jo kuch mujhe pata hai aur jo main dekha hai usse main yahan par likh rahan hun. aasa hai aap log unke dwara kiye gaye jan aandolano ke bare main aur jyada jaankari denge.
          baat un dino ki hai jab se pandit ji ke baare main mujhe jaanne ka mauka mila. main GIC pithoragarh main 6-7'th class main padta tha. us samay uttarakhand aandolan charam seema par tha.roz roz school/college band hona aam baat thi.collage ke chatra neeta school band karwaane aate the, un chatra neetaon main ek naam tha Nirmal pandit ka...abhi bhi mujhe unka wo nara ..
"LAGA DO AAG PANI MAI SARARAT HO TO AISI HO......MITA DO JURM KI HASTI KO BAGAWAT HO TO AISI HO" achhi tarah se yaad hai.ham school ke ladke bhi jansamuh ke peeche peeche jila kaaryalay tak naare lagate huye jaate the.pata nahi pandit ji ki wo amit chap abhi jak mere dil main jinda hai aur sayad hamesha rahegi.
unhen agar uttarakhand aandolan ka "bhagat singh" kahen to wo bhi kam hoga,pithoragarh dist se sayad hi mujhe unke alawa aandolan main active rahne wale kisi aur vyakti vishesh ka naam yaad hai.wo kahte hain na ki jinke liye aapke dil main ek baar jagah ban jaati hai unke baare main aur jaane ki utsukta bad jaati hai...sanyog se ek baar mujhe lagbhag 7-8 saal pahle unke ghar gangolihaat(chitgal) jaane ka bhi mauka mila,wahan main unke pita ji aur maata ji se bhi mila.jan aandolano main hamesha bhagidarai karne wale us mahaan vibuti ne sharab mafiyaon ke khilaaf apni muhim ko jaari rakha aur ant-tah sharab ke thekon ka virodh karte huye aatmadah kar diya.jindagi aur maut ke beech maheeno tak jhoolate hue antatah unhone paarn tyaag diye.
   pandit ji ke dwara kiye gaye jan aandolano ke baare main aagar aap logon ko kuch aur malum hai to please furom main post kar degiye taki aur logon ko jinhen pandit ji ke baare main pata nahi hai ,jaane ka mauka mile.

jai bharat jai uttarakhand
aapka apna lalit ojha

एम.एस. मेहता /M S Mehta 9910532720:


Mr Nirmal Kumar Joshi (Pandit) ji was one of heroes of Uttarakhand State Struggle who sacrified his life for separate state. He hailed from Pithoragarh Distt of Uttarakhand.

Lalit Mohan Pandey:
Lalit Bhai, In links mai aapko nirmal pandit ji ke bare mai kuch or information mil payegi... ye apne sahi kaha hi wo uttarakhand ke "Bhagat Singh" the, or sahi  mayne mai ek neta the, jinhone hamesha uttarakhand ke hit ke liye sangharsh kiya or apna balidan diya.
"Itna jarur hai ki aese log mar kar bhi amar ho jate hai..



http://www.merapahad.com/forum/uttarakhand-history-and-peoples-movement/shaheedon-ko-shradhhanjali-tribute-to-martyrs/msg34937/#msg34937

http://www.merapahad.com/forum/personalities-of-uttarakhand/personalities-of-uttarakhand/msg20963/#msg20963

http://www.merapahad.com/forum/personalities-of-uttarakhand/personalities-of-uttarakhand/msg21211/#msg21211

Lalit Mohan Pandey:
Bahut saram ki bat hai ki pandit ji ka parivar aaj musibatu mai ji raha hai.. Bar bar kiye gaye wadu ke babzood uttarakhand sarkar ki taraf se unhe koe mali sahayata nahi mili... Unke pariwar ko sahayata nahi dila pane ki wajah se hal hi mai "Gopu mahar" ne uttarakhand andolankariyu ko chinhit karne ke liye jo Committee bani hai usase resign kar diya hai...

Lalit mohan ojha......pithoragarh:
Lalit da bahut bahut dhanyawad...Pandit g ke bare main information dene ke liye.....

Navigation

[0] Message Index

[#] Next page

Sitemap 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 
Go to full version