• Welcome to MeraPahad Community Of Uttarakhand Lovers.
 
Live Chat With Meena Rana(Folk Singer) & Sanjay Kumola On 22 Feb 2008 At 11:00AM

Started by एम.एस. मेहता /M S Mehta 9910532720, February 18, 2008, 03:13:49 PM

Meena Rana

Sabhi log unke saath the aur infact maine to us album main gaane bhi gaae the.

Quote from: vachan sanwal on February 22, 2008, 11:52:27 AM
meena ji jo abhi haal hi me Narendra singh negi ji ke geet Nauchami Narayan me kafi vivad hua tha par kisi bhi uttarakhandi Singer ne unka saath nahi diya, kiya aap logon ki koi Unity ya union nahin hai kyoknki agar bhavishya mein kisi bhi kalakaar ke saath aisa dubara hua to kiya aap logon ko akele ya individiualy struggle karana padega????

Meena Rana

Sab aap logon ka pyar aur aashirvaad hai. Sabhi gaane mere bachon jaise hain unmain kise khaas kahun.

Quote from: M S Mehta on February 22, 2008, 11:53:03 AM

कमोला साहब के मेरा प्रशन...

कमोला जी इतने सार हिट सोंग देने के बाद कैसा लगता है.. इन हिट गीतों मे आपका सबसे प्रिय गीत कौन सा है ??

Uttaranchali Nauni

In near future .. koi plans training institue open karne ki !! jaisa ki hum sab jante hn zadatar new gen hindi gane aur english gano se prabhavit hote hn !!
agar aaplog apne sahyog se aisa plan kare toh ....garhwal sangeet bhi itni hi tezi se age bahdega !! aur ane wale gen mein apne samaj ke prati prem bhi barkarar rahega !!

Meena Rana

Meri badi sister Uma Rana mera support rahi hain Shaadi ke baad Sanjay ji bahut bada support rahe..

Kuch fans ne youtube main shayad meri live performance upload ki hai aap search kar sakte hain.

Quote from: uttrakhandi on February 22, 2008, 11:53:45 AM
aapki inspiration kaun hai.........
kya hume aapki koi live performance ka link mil sakta hai plzzzzzzzzzzzzz

vachan sanwal

Meena Ji me Gane ki Baat nahi Vivad ke waqt ki baat kar raha hun jab unkey putle jalaeye aur kai programo se unka walk out kar diya geya, Cd Ban kar di us waqt kisi bhi bade male singers ne unka saat nahi diya aesa keyon?
Agar Uttarakhand ke brand Ambassador ke saath aesa kiya jaega to iska uttarakhand ki sanskriti par kiya prabhav padega???

Quote from: Meena Rana on February 22, 2008, 12:16:32 PM