• Welcome to MeraPahad Community Of Uttarakhand Lovers.
 

Live Chat With Meena Rana(Folk Singer) & Sanjay Kumola On 22 Feb 2008 At 11:00AM

Started by एम.एस. मेहता /M S Mehta 9910532720, February 18, 2008, 03:13:49 PM



777.rawat



Meena Rana

Soch to hai lekin abhi finance ki dikkat hai.

Quote from: Vedika Rawat on February 22, 2008, 12:20:40 PM
In near future .. koi plans training institue open karne ki !! jaisa ki hum sab jante hn zadatar new gen hindi gane aur english gano se prabhavit hote hn !!
agar aaplog apne sahyog se aisa plan kare toh ....garhwal sangeet bhi itni hi tezi se age bahdega !! aur ane wale gen mein apne samaj ke prati prem bhi barkarar rahega !!


Meena Rana

Vachan ji woh issue political ho gaya tha. Humne apni taraf se poora saath diya baaki singers ke baare main hum kya kah sakte hain yeh to wahi behtar bata sakte hain.

Quote from: vachan sanwal on February 22, 2008, 12:21:42 PM
Meena Ji me Gane ki Baat nahi Vivad ke waqt ki baat kar raha hun jab unkey putle jalaeye aur kai programo se unka walk out kar diya geya, Cd Ban kar di us waqt kisi bhi bade male singers ne unka saat nahi diya aesa keyon?
Agar Uttarakhand ke brand Ambassador ke saath aesa kiya jaega to iska uttarakhand ki sanskriti par kiya prabhav padega???

Quote from: Meena Rana on February 22, 2008, 12:16:32 PM
Sabhi log unke saath the aur infact maine to us album main gaane bhi gaae the.

Quote from: vachan sanwal on February 22, 2008, 11:52:27 AM
meena ji jo abhi haal hi me Narendra singh negi ji ke geet Nauchami Narayan me kafi vivad hua tha par kisi bhi uttarakhandi Singer ne unka saath nahi diya, kiya aap logon ki koi Unity ya union nahin hai kyoknki agar bhavishya mein kisi bhi kalakaar ke saath aisa dubara hua to kiya aap logon ko akele ya individiualy struggle karana padega????

Meena Rana

Nahi aisa to koi vichaar nahi hai.

Quote from: M S Mehta on February 22, 2008, 12:23:14 PM
ये प्रशन मे सब से  पूछता हूँ राणा जी ? मैंने नेगी जी और अन्य लोगो के भी पूछा था ??

क्या भविष्य मे आप राजनीति मे जाना चाहोगे ???