• Welcome to MeraPahad Community Of Uttarakhand Lovers.
 

ON-LINE KAVI SAMMELAN - ऑनलाइन कवि सम्मेलन दिखाए, अपना हुनर (कवि के रूप में)

Started by एम.एस. मेहता /M S Mehta 9910532720, March 11, 2010, 11:45:47 AM


धनेश कोठारी

हिसाब द्‍या

हम रखणा छां
जग्वाळी तैं हर्याळी थैं
हिसाब द्‍या, हिसाब द्‍या
हे दुन्यादार लोखूं तुम
निसाब द्‍या.......

तुमरा गंदळा आसमान
हमरु हर्याळी कू ढ़क्याण
तुम, बम बणांदी रावा
हम त रोपदी जौंला डाळा

तुमारु धुळ माटु कचरा
हम बुकाणा छां दिन द्वफरा
तुमन्‌ ओजोन भेद्‍याली
हम, पुणदा लगैकि डाळी

तुमरि गाड़ीं च विपदा
हमरि सैंति च संपदा
तुमरु अटलांटिक छिजदा
हमरु हिमाला जुगराज

तुमरि ल्वैछड़्या कुलाड़ी
हमरि चिपकदी अंग्वाळी
तुमुन्‌ मनख्यात उजाड़ी
हमुन्‌ पुन्यात जग्वाळी
हिसाब द्‍या...................॥
Source : Jyundal (A Collection of Garhwali Poems)
Copyright@ Dhanesh Kothari

Devbhoomi,Uttarakhand


dramanainital

ek do kavitaein meri bhi.

garveeley sard himalay mein,

main beech tapowan rehta hoon,

aur paawan gangajal bankar,

maa kee rag rag mein bahta hoon.



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.



jo doobey merey gaon they wo,

jo ukhdey merey paon they wo.

ghar ghar roshan ho isiliye,

chati par bojh ye sehta hoon



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.



hai barsaton kee manmani,

pani karta pani pani,

sab nehrein goolein bhari rahen,

main nishchal nirmal behta hoon.



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.



sunta hun meri chati mein,

hain khanijon key bhandar bharey.

phir bhi do roti kee khatir,

shahron mein naukar rehta hoon.



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.



mehnatkash hoon balwan hu main

apni sena ki shaan hu main,

tum chain ki needein so jao,

main rakhwali mein rehta hoon.



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.



main rakshak hu van upvan ka,

bholey saa bholey sey mun ka.

sab zahar hawaon kaa peekar,

main tazi sansein deta hoon.



main khud ko pahadi kehta hoon.

main khud ko pahadi kehta hoon.


dramanainital

AAINA CHEHRAA?


Poochta hai dimag kaa pehra,

Naqab hai ya aainaa chehraa




Urwan rah gaya haqdar ka sar       urwan-nanga

Saj gaya aur kisi sar sehraa.




Soorate haal ka bayas kya hai,          bayas-kaaran

Riayaa gungi ya hakim behraa.          riayaa-prajaa   hakim-raja




Dilaye yaad sabak dosti kaa,

Peeth par zakhm hai bada gehraa.


dramanainital

AAYAE!!!!


Jo itihaas likhaa jaye To unka bhi naam aaye

Khane ki tamanna thi Par jo nahi khaa paaye




Jaraa soch ke dekho to Kitney zaheen hongey           ZAHEEN-AKLMAND

Koyley kee dalaali kee par saaf nikal aaye.




Ye baat sunkey unki goonji hansee mehfil mein

Padosi kee mayyat thee chupkey sey khisak aaye







Meree gazal kee chodo uski bisaat kyaa hai

Ghalib kee ghazal ko to apni naa wo bataye.







Keemat to zindagi kee adaa naa kar sakogey

Maa key liye bas ek din wo ghar to laut aaye.

                                                 



Bakunbaa they vermaji,daawat mein mujhsey boley       BAKUNBA-PARIWAR SAHIT

Bas mujhko bulaawa thaa hum saarey chaley aaye




Sab dekhtey hain shak sey us rasbharey item ko

jo poos ke jarey mein fagun ke geet gaye.




Beti chahak rahi thee vidaai kee belaa mein

Baap kee aankho sey bhee aansoo naa nikal paaye




Is aaj ki duniyaa mein safedposh wo hain

Poorey yakin sey jo safed jhooth bol jaaye




Zameer ka wo aakhree tukda bhi bech daalaa

Karzey kyaa byaaj bhi lo hum aaj chukaa aaye.


dayal pandey/ दयाल पाण्डे

आई के देखो , आई देखुला,
ढुंग बेच माट बेचीं , बेच खै पहाडा,
गंगा को पाणि बेच, आब  बिजली घोटाला
दुनिया सामानी उंला सरमा नि खूला,
आये के देखो इजा, आये के देखुला
नौवा सुखा, छौया सुखा, सुखाई है गधेरी,
खेती - पाति सुकै हालो, सुकै है धिनाई
किसम - किसम कोट पैरी नोट मै कमूला,
आये के देखो इजा, आये के देखुला
गैरसैण आवाज़ आली, चुप्पी शादी रुला
द्वी बार तो ठागे हाली आई लै ठगुला,
देहरादून बैठी बैठी ख़जान भारुला
आये के देखो इजा, आये के देखुला

हलिया

 जै हो महराज तुमरि
भौतै सच्चि बात कै द्यो तुमुल कविता मैं ।

kya baat dajyu bahut sundar.. mairi to mann ki baat likh diya apne.. jai ho aapki

aaye ke dekho iza aaye dekhula... jai ho uttarakhand sarkaar ki luto jaldi luto

Quote from: dayal pandey/ दयाल पाण्डे on May 05, 2010, 04:02:00 PM
आई के देखो , आई देखुला,
ढुंग बेच माट बेचीं , बेच खै पहाडा,
गंगा को पाणि बेच, आब  बिजली घोटाला
दुनिया सामानी उंला सरमा नि खूला,
आये के देखो इजा, आये के देखुला
नौवा सुखा, छौया सुखा, सुखाई है गधेरी,
खेती - पाति सुकै हालो, सुकै है धिनाई
किसम - किसम कोट पैरी नोट मै कमूला,
आये के देखो इजा, आये के देखुला
गैरसैण आवाज़ आली, चुप्पी शादी रुला
द्वी बार तो ठागे हाली आई लै ठगुला,
देहरादून बैठी बैठी ख़जान भारुला
आये के देखो इजा, आये के देखुला